manzil-e-maksud pa ke bhi sukoon haasil nahin | मंज़िल-ए-मकसूद पा के भी सुकूँ हासिल नहीं - Aman Kumar Shaw "Haif"

manzil-e-maksud pa ke bhi sukoon haasil nahin
aa gaya main jis jagah shaayad meri manzil nahin

aasraa hai kashtiyon ko saahil-e aabaad ka
kya safeene kaam aaye gar koi saahil nahin

hausale bhi past hote dekhe hain unke yahan
kahte the jo baarha ke zindagi mushkil nahin

ghotte hain sab gala jab apne armaanon ka yaa
kaun phir daava kare ke apna vo qaateel nahin

peeth pe khanzar chubho ke ishq mein tu khush na ho
hosh kho baitha magar vo shakhs hai ghaafil nahin

kheenchti hai khaak sabko baarha apni taraf
isme jab tak mil na jaaye aadmi kaamil nahin

laash apni sar pe rakhkar phir raha hoon dar b dar
mere jaisa duniya mein hoga koi haamil nahin

dhundhna mujhko na yaaro is jahaan ki bheed mein
bheed ka hissa aman hoon bheed mein shaamil nahin

मंज़िल-ए-मकसूद पा के भी सुकूँ हासिल नहीं
आ गया मैं जिस जगह शायद मेरी मंज़िल नहीं

आसरा है कश्तियों को साहिल-ए- आबाद का
क्या सफ़ीनें काम आये गर कोई साहिल नहीं

हौसले भी पस्त होते देखे हैं उनके यहाँ
कहते थे जो बारहा के ज़िन्दगी मुश्किल नहीं

घोटते हैं सब गला जब अपने अरमानों का याँ
कौन फिर दावा करे के अपना वो क़ातिल नहीं

पीठ पे खंज़र चुभो के इश्क़ में तू ख़ुश न हो
होश खो बैठा मगर वो शख़्स है ग़ाफ़िल नहीं

खींचती है ख़ाक सबको बारहा अपनी तरफ
इसमे जब तक मिल न जाये आदमी कामिल नहीं

लाश अपनी सर पे रखकर फिर रहा हूँ दर ब दर
मेरे जैसा दुनिया में होगा कोई हामिल नहीं

ढ़ूंढ़ना मुझको न यारो इस जहां की भीड़ में
भीड़ का हिस्सा "अमन" हूँ भीड़ में शामिल नहीं

- Aman Kumar Shaw "Haif"
4 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aman Kumar Shaw "Haif"

As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Writers

our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari