jaakar kabhi unhen mil ai aasmaan waale | जाकर कभी उन्हें मिल ऐ आसमान वाले

  - Shivam Raahi Badayuni

jaakar kabhi unhen mil ai aasmaan waale
hain kitne zakham rakhte dil mein jahaan waale

dil sochta tha pehle khushiyaan khareed luun main
gham bechne lage hain ab har dukaan waale

ab log rah rahe hain khaali dilon ke andar
ghar ab nahin raha ghar hain sab makaan waale

main roz roz khud ko barbaad kar raha hoon
samjha nahin rahe hain ab khaandaan waale

kya farq pad raha hai badnaam ho gaya main
badnaam hi kiye hain pehle ye shaan waale

जाकर कभी उन्हें मिल ऐ आसमान वाले
हैं कितने ज़ख़्म रखते दिल में जहान वाले

दिल सोचता था पहले ख़ुशियाँ ख़रीद लूँ मैं
ग़म बेचने लगे हैं अब हर दुकान वाले

अब लोग रह रहे हैं ख़ाली दिलों के अंदर
घर अब नहीं रहा घर हैं सब मकान वाले

मैं रोज़ रोज़ ख़ुद को बरबाद कर रहा हूँ
समझा नहीं रहे हैं अब ख़ानदान वाले

क्या फ़र्क़ पड़ रहा है बदनाम हो गया मैं
बदनाम ही किए हैं पहले ये शान वाले

  - Shivam Raahi Badayuni

Broken Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shivam Raahi Badayuni

As you were reading Shayari by Shivam Raahi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Shivam Raahi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Broken Shayari Shayari