kisi qeemat tujhe is dil mein laane to nahin waala
laga jo daagh is dil par hai jaane to nahin waala
bhale hi khatm ho jaaye ye qissa tera mera ab
tiri tasveer ko main ab jalane to nahin waala
uthaaye rakhna hai ta umr mujhko khaamoshi dil mein
khushi ka bojh ab dil se uthaane to nahin waala
bhale hi sookh jaaye ab meri in aankhon ka paani
tiri khaatir kabhi aansu bahaane to nahin waala
tiri khaatir hua hai khaak mere ghar ka har kona
tiri khaatir kabhi ghar ko sajaane to nahin waala
mujhe maaloom hota hai tumhaara dard bhi gham bhi
suno aankhon tumhein main ab rulaane to nahin waala
nibha kar saath main uska bada pachta raha hoon ab
kisi ka saath ab lekin nibhaane to nahin waala
किसी क़ीमत तुझे इस दिल में लाने तो नहीं वाला
लगा जो दाग़ इस दिल पर है जाने तो नहीं वाला
भले ही ख़त्म हो जाए ये क़िस्सा तेरा मेरा अब
तिरी तस्वीर को मैं अब जलाने तो नहीं वाला
उठाए रखना है ता उम्र मुझको ख़ामुशी दिल में
ख़ुशी का बोझ अब दिल से उठाने तो नहीं वाला
भले ही सूख जाए अब मिरी इन आँखों का पानी
तिरी ख़ातिर कभी आँसू बहाने तो नहीं वाला
तिरी ख़ातिर हुआ है ख़ाक मेरे घर का हर कोना
तिरी ख़ातिर कभी घर को सजाने तो नहीं वाला
मुझे मालूम होता है तुम्हारा दर्द भी ग़म भी
सुनो आँखों तुम्हें मैं अब रुलाने तो नहीं वाला
निभा कर साथ मैं उसका बड़ा पछता रहा हूँ अब
किसी का साथ अब लेकिन निभाने तो नहीं वाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivam Raahi Badayuni
our suggestion based on Shivam Raahi Badayuni
As you were reading Anjam Shayari Shayari