use paane ki karte ho dua to | उसे पाने की करते हो दुआ तो

  - Siraj Faisal Khan

use paane ki karte ho dua to
magar us se bhi kal jee bhar gaya to

yaqeenan aaj ham ik saath hote
agar karte zara sa hausla to

chale ho rehnuma kar ilm ko tum
tumhein is ilm ne bhatka diya to

samajh sakte ho kya anjaam hoga
tumhaare vaar se vo bach gaya to

bahut masroof tha mehfil mein maana
nahin kuchh bolta par dekhta to

kisi ko chahti hai pooch luun kya
jawaab is ka magar haan mein mila to

main achha hoon tabhi apna rahi ho
koi mujh se bhi achha mil gaya to

bahut nazdeek mat aaya karo tum
kahi kuchh ho gai ham se khata to

bahut se kaam kal karne hain mujh ko
magar ai zindagi kal na hua to

ghulaami mein jakad lega koi phir
watan aise hi gar lutta raha to

use phir kaun maarega batao
gham-e-hijraan ne bhi thukra diya to

उसे पाने की करते हो दुआ तो
मगर उस से भी कल जी भर गया तो

यक़ीनन आज हम इक साथ होते
अगर करते ज़रा सा हौसला तो

चले हो रहनुमा कर इल्म को तुम
तुम्हें इस इल्म ने भटका दिया तो

समझ सकते हो क्या अंजाम होगा
तुम्हारे वार से वो बच गया तो

बहुत मसरूफ़ था महफ़िल में माना
नहीं कुछ बोलता पर देखता तो

किसी को चाहती है पूछ लूँ क्या
जवाब इस का मगर हाँ में मिला तो

मैं अच्छा हूँ तभी अपना रही हो
कोई मुझ से भी अच्छा मिल गया तो

बहुत नज़दीक मत आया करो तुम
कहीं कुछ हो गई हम से ख़ता तो

बहुत से काम कल करने हैं मुझ को
मगर ऐ ज़िंदगी कल न हुआ तो

ग़ुलामी में जकड़ लेगा कोई फिर
वतन ऐसे ही गर लुटता रहा तो

उसे फिर कौन मारेगा बताओ
ग़म-ए-हिज्राँ ने भी ठुकरा दिया तो

  - Siraj Faisal Khan

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Siraj Faisal Khan

As you were reading Shayari by Siraj Faisal Khan

Similar Writers

our suggestion based on Siraj Faisal Khan

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari