itna na may-kashi ka kisi par khumaar ho
apna hi dar lage miyaan dozkh ka dwaar ho
itne taras gaye hain mohabbat ko ham habeeb
jis shakhs se mila do hamein us se pyaar ho
us shakhs ke khushi se maraasim baja nahin
jis par gham-e-jahaan ka daar-o-madaar ho
charagari bhi dekhiye naakaam ho gai
ab to khabar karo hamein deedaar-e-yaar ho
इतना न मय-कशी का किसी पर ख़ुमार हो
अपना ही दर लगे मियाँ दोज़ख का द्वार हो
इतने तरस गए हैं मोहब्बत को हम हबीब
जिस शख़्स से मिला दो हमें उस से प्यार हो
उस शख़्स के ख़ुशी से मरासिम बजा नहीं
जिस पर ग़म-ए-जहान का दार-ओ-मदार हो
चारागरी भी देखिए नाकाम हो गई
अब तो ख़बर करो हमें दीदार-ए-यार हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari