shaam ko kamre talak to is tarah aata hoon main | शाम को कमरे तलक तो इस तरह आता हूँ मैं - SUMIT KUMAR GUPTA

shaam ko kamre talak to is tarah aata hoon main
duniya se katata hua khud mein simat jaata hoon main

zindagi ki kashmakash paagal bana degi mujhe
cheekhta hoon baap par bacchon pe chillataa hoon main

subh bich jaata hoon main bazaar mein baahar nikal
shaam apne aap ko apne mein bhar laata hoon main

aaj bhi ik shakhs ke ehsaan dil pe darj hain
aaj bhi ik shakhs se boluun to haklaata hoon main

zikr pehle ishq ka ho to sihar jaata hai man
apne dil ke aakhiri kamre se ghabraata hoon main

zindagi apni udaasi par likha ik geet hai
jisko sabke saamne hanste hue gaata hoon main

शाम को कमरे तलक तो इस तरह आता हूँ मैं
दुनिया से कटता हुआ खुद में सिमट जाता हूँ मैं

ज़िन्दगी की कश्मकश पागल बना देगी मुझे
चीखता हूँ बाप पर बच्चों पे चिल्लाता हूँ मैं

सुब्ह बिछ जाता हूँ मैं बाज़ार में बाहर निकल
शाम अपने आप को अपने में भर लाता हूँ मैं

आज भी इक शख़्स के एहसान दिल पे दर्ज हैं
आज भी इक शख़्स से बोलूँ तो हकलाता हूँ मैं

ज़िक्र पहले इश्क़ का हो तो सिहर जाता है मन
अपने दिल के आख़िरी कमरे से घबराता हूँ मैं

ज़िन्दगी अपनी उदासी पर लिखा इक गीत है
जिसको सबके सामने हँसते हुए गाता हूँ मैं

- SUMIT KUMAR GUPTA
1 Like

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SUMIT KUMAR GUPTA

As you were reading Shayari by SUMIT KUMAR GUPTA

Similar Writers

our suggestion based on SUMIT KUMAR GUPTA

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari