jhagda bhi ho to itni sahoolat bani rahe | झगड़ा भी हो तो इतनी सहूलत बनी रहे - SUMIT KUMAR GUPTA

jhagda bhi ho to itni sahoolat bani rahe
hum tum mein baat karne ki soorat bani rahe

main to ye chahta tha ki haalaat theek hon
main to ye chahta tha mohabbat bani rahe

mujhko kisi ne itna kaha tha ki mere baad
dukh ho bhi to ye hansne ki aadat bani rahe

tum door ho rahi ho to itni dua karo
vehshat ke is makaan mein ganeemat bani rahe

pehle bhi waqyaa ye hua hai hamaare saath
par sochte hain aankh ki hairat bani rahe

tark-e-taalluqaat ki koi saza na ho
ik doosre ke dil mein nadaamat bani rahe

yaani tumhaare baad bhi main khush raha karoon
to neev ke bina bhi imarat bani rahe

झगड़ा भी हो तो इतनी सहूलत बनी रहे
हम तुम में बात करने की सूरत बनी रहे

मैं तो ये चाहता था कि हालात ठीक हों
मैं तो ये चाहता था मोहब्बत बनी रहे

मुझको किसी ने इतना कहा था कि मेरे बाद
दुख हो भी तो ये हँसने की आदत बनी रहे

तुम दूर हो रही हो तो इतनी दुआ करो
वहशत के इस मकाँ में गनीमत बनी रहे

पहले भी वाकया ये हुआ है हमारे साथ
पर सोचते हैं आँख की हैरत बनी रहे

तर्क-ए-तअल्लुक़ात की कोई सज़ा न हो
इक दूसरे के दिल में नदामत बनी रहे

यानी तुम्हारे बाद भी मैं ख़ुश रहा करूँ
तो नींव के बिना भी इमारत बनी रहे?

- SUMIT KUMAR GUPTA
9 Likes

Sazaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SUMIT KUMAR GUPTA

As you were reading Shayari by SUMIT KUMAR GUPTA

Similar Writers

our suggestion based on SUMIT KUMAR GUPTA

Similar Moods

As you were reading Sazaa Shayari Shayari