sulagti shab ke nazaare bula rahe hain tumhein | सुलगती शब के नज़ारे बुला रहे हैं तुम्हें - SUMIT KUMAR GUPTA

sulagti shab ke nazaare bula rahe hain tumhein
nadi ke shaant kinaare bula rahe hain tumhein

hamaare baagh mein rangat tumhaare phool se thi
tumhaare husn ke maare bula rahe hain tumhein

hamaari chhodo hamaare hriday ki cheekh suno
chali bhi aao tumhaare bula rahe hain tumhein

ye sard maah hararat ye kapkapataa badan
fiza ke saare ishaare bula rahe hain tumhein

jo tumne haath chhudaaya adab ne thaam liya
so ab ghazal ke sahaare bula rahe hain tumhein

सुलगती शब के नज़ारे बुला रहे हैं तुम्हें
नदी के शांत किनारे बुला रहे हैं तुम्हें

हमारे बाग़ में रंगत तुम्हारे फूल से थी
तुम्हारे हुस्न के मारे बुला रहे हैं तुम्हें

हमारी छोड़ो हमारे हृदय की चीख सुनो
चली भी आओ तुम्हारे बुला रहे हैं तुम्हें

ये सर्द माह हरारत ये कपकपाता बदन
फ़िज़ा के सारे इशारे बुला रहे हैं तुम्हें

जो तुमने हाथ छुड़ाया अदब ने थाम लिया
सो अब ग़ज़ल के सहारे बुला रहे हैं तुम्हें

- SUMIT KUMAR GUPTA
5 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SUMIT KUMAR GUPTA

As you were reading Shayari by SUMIT KUMAR GUPTA

Similar Writers

our suggestion based on SUMIT KUMAR GUPTA

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari