agar mujh se milna hai aao milo tum | अगर मुझ से मिलना है आओ मिलो तुम

  - Tabassum Kashmiri

agar mujh se milna hai aao milo tum
magar yaad rakhna
main iqaar ki manzilen raaste hi mein chhod aaya hoon
ab mujh se milna hai tum ko to inkaar ki sarhadon pe milo
jheenguron makdiyon ke janaaze
main raaste pe chhod aaya hoon
puraani kathaaein mujhe kheenchti hain
zameen ka zawaal aaj zanjeer-e-paa ban raha hai
khas-o-khaak ke saare rishte
main ne har shay ko ab taj diya hai
koi ma'zarat bhi nahin hai
ki main ma'zarat ke sabhi jhoote lafzon ko
apni lugat se nikaal aaya hoon
main inkaar ke aasmaanon pe firta hua
main inkaar ka vird karta hua
main zameenon pe aur aasmaanon ki har shay pe
inkaar ki surkh mohrein lagata hua
aur dama-dam ki ik thaap pe
main ne saaton zameenon ke saaton tabaq aaj raushan kiye hain
dekhna aasmaan raqs karne laga hai
zameenon ke saare khazaane ubalne lage hain
saare dafneene jadon se ukhad kar
mere saamne haath baandhe khade hain
meri awaaz par machliyaan paaniyon se nikal aayi hain
aaj arz-o-samaawaat ki saari poshida khabren main sunne laga hoon
main khush hoon mujhe aagahi mil gai hai
badan ke masaamon se ab aagahi shola ban kar chamakne lagi hai
ajab kashf ki raushni hai
zameen apni sath se paataal tak raushni mein naha kar
shab-e-avvaleen ki dulhan ki tarah aaj sharma rahi hai
taaza hawaon ki doshijzagi saath rangon mein barhana hui hai
hayaao ki surkhi se chehra kanwal hai
ki meri dulhan ka badan phool hai
vo hawaon ke rangon mein doobi hui hai
hawaon ki doshijzagi saath rangon mein barhana hui hai
har ik shay naqaab apna ulte hue hai
sabhi bhed apni zabaanen nikale mere saamne aa gaye hain
kitaabon ke aoraq khud bolte hain
zameen aasmaan ki har ik shay
samundar hawaaein zameenon ki sathein
sathon ke neeche sadiyon ke chehre
pahaadon ki barfein barfon ke shoreeda paani
sadiyon ke pyaase samundar ke saahil darakhton ke patte
phoolon ke chehre aur roz-o-shab ke safed-o-siyaah silsile
har ik shay mujhe apne bhedon se asraar se
aashna kar rahi hai
ajab aashnaai ki lazzat mili hai
main is aashnaai ki lazzat se sarshaar ho kar
muqaddas zameen ke purane dukhon ko gale se laga kar
main iqaar ki manzilen raaste hi mein chhod aaya hoon
main saari puraani kathaaein jala kar
faqat ik dama-dam ki awaaz par raqs karta hua
main iqaar ki sarhadon se pare aa gaya hoon
ab mujh se milna hai tum ko
to aao milo
magar yaad rakhna
main iqaar ki dushmani par utar aaya hoon
ab main inkaar ki sarhadon pe miloonga

अगर मुझ से मिलना है आओ मिलो तुम
मगर याद रखना
मैं इक़रार की मंज़िलें रास्ते ही में छोड़ आया हूँ
अब मुझ से मिलना है तुम को तो इंकार की सरहदों पे मिलो
झींगुरों मकड़ियों के जनाज़े
मैं रस्ते पे छोड़ आया हूँ
पुरानी कथाएँ मुझे खींचती हैं
ज़मीं का ज़वाल आज ज़ंजीर-ए-पा बन रहा है
ख़स-ओ-ख़ाक के सारे रिश्ते
मैं ने हर शय को अब तज दिया है
कोई मा'ज़रत भी नहीं है
कि मैं मा'ज़रत के सभी झूटे लफ़्ज़ों को
अपनी लुग़त से निकाल आया हूँ
मैं इंकार के आसमानों पे फिरता हुआ
मैं इंकार का विर्द करता हुआ
मैं ज़मीनों पे और आसमानों की हर शय पे
इंकार की सुर्ख़ मोहरें लगाता हुआ
और दमा-दम की इक थाप पे
मैं ने सातों ज़मीनों के सातों तबक़ आज रौशन किए हैं
देखना आसमाँ रक़्स करने लगा है
ज़मीनों के सारे ख़ज़ाने उबलने लगे हैं
सारे दफ़ीने जड़ों से उखड़ कर
मिरे सामने हाथ बाँधे खड़े हैं
मेरी आवाज़ पर मछलियाँ पानियों से निकल आई हैं
आज अर्ज़-ओ-समावात की सारी पोशीदा ख़बरें मैं सुनने लगा हूँ
मैं ख़ुश हूँ मुझे आगही मिल गई है
बदन के मसामों से अब आगही शो'ला बन कर चमकने लगी है
अजब कश्फ़ की रौशनी है
ज़मीं अपनी सत्ह से पाताल तक रौशनी में नहा कर
शब-ए-अव्वलीं की दुल्हन की तरह आज शर्मा रही है
ताज़ा हवाओं की दोशीज़गी सात रंगों में बरहना हुई है
हयाओं की सुर्ख़ी से चेहरा कँवल है
कि मेरी दुल्हन का बदन फूल है
वो हवाओं के रंगों में डूबी हुई है
हवाओं की दोशीज़गी सात रंगों में बरहना हुई है
हर इक शय नक़ाब अपना उल्टे हुए है
सभी भेद अपनी ज़बानें निकाले मिरे सामने आ गए हैं
किताबों के औराक़ ख़ुद बोलते हैं
ज़मीं आसमाँ की हर इक शय
समुंदर हवाएँ ज़मीनों की सतहें
सत्हों के नीचे सदियों के चेहरे
पहाड़ों की बर्फ़ें बर्फ़ों के शोरीदा पानी
सदियों के प्यासे समुंदर के साहिल दरख़्तों के पत्ते
फूलों के चेहरे और रोज़-ओ-शब के सफ़ेद-ओ-सियाह सिलसिले
हर इक शय मुझे अपने भेदों से असरार से
आश्ना कर रही है
अजब आश्नाई की लज़्ज़त मिली है
मैं इस आश्नाई की लज़्ज़त से सरशार हो कर
मुक़द्दस ज़मीं के पुराने दुखों को गले से लगा कर
मैं इक़रार की मंज़िलें रास्ते ही में छोड़ आया हूँ
मैं सारी पुरानी कथाएँ जला कर
फ़क़त इक दमा-दम की आवाज़ पर रक़्स करता हुआ
मैं इक़रार की सरहदों से परे आ गया हूँ
अब मुझ से मिलना है तुम को
तो आओ मिलो
मगर याद रखना
मैं इक़रार की दुश्मनी पर उतर आया हूँ
अब मैं इंकार की सरहदों पे मिलूँगा

  - Tabassum Kashmiri

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari