fan ke but-kade mein daakhil ho kar
apne rangon mein haath gholnaa
apni shaay'ri ki bansi bajana
apne afsaano ke har ek sanam se mukhaatab hona
aur suron se ham-kalaam hona
fankaar ki zindagi ka khulasa hai
fankaar fan khaata hai
fan odhta hai
fan dekhta hai
fan sunta hai
lekin us ki musavviri
us ki shaay'ri
us ki mauseeqi
aur us ki kahaaniyon ka nateeja almeya hai
majeed-'amjad apni dulhan ke pahluu mein jaan de kar use suhaagan rakhta hai
aur maazi ka hissa ban kar haal mein zinda rehta hai
fankaar ki khaanqaah langar se maavra hai
फ़न के बुत-कदे में दाख़िल हो कर
अपने रंगों में हाथ घोलना
अपनी शाइ'री की बंसी बजाना
अपने अफ़्सानों के हर एक सनम से मुख़ातब होना
और सुरों से हम-कलाम होना
फ़नकार की ज़िंदगी का ख़ुलासा है
फ़नकार फ़न खाता है
फ़न ओढ़ता है
फ़न देखता है
फ़न सुनता है
लेकिन उस की मुसव्विरी
उस की शाइ'री
उस की मौसीक़ी
और उस की कहानियों का नतीजा अलमिया है
मजीद-'अमजद' अपनी दुल्हन के पहलू में जान दे कर उसे सुहागन रखता है
और माज़ी का हिस्सा बन कर हाल में ज़िंदा रहता है
फ़नकार की ख़ानक़ाह लंगर से मावरा है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabassum Zia
As you were reading Anjam Shayari Shayari