garmiyon ke mausam mein | गर्मियों के मौसम में

  - Tabassum Zia

garmiyon ke mausam mein
laaltain ki aag senkte hain
to thanda bulb muskurata hai
aur hamaari bebaasi par munh chirdata hai

bahut si haddiyaan
khaal ke thaile mein padi chubhti rahti hain
rozaana kai kutte
khuraak ki talash mein masroof
kachre ke dher pe
ek doosre par ghurrate hain

zameen ke baalon mein kanghi karti
garm sard hawaaein
khayaalon ki puraani deg mein baas maarte khwaab
koluhoon ki bhatti ke paas jalta sard khoon
aahen bharti pairo'n mein bikhri siskiyaan
anjaan sadak pe udhdaa pada la-waaris pet
jise ajnabi sho'bda-baaz
hasi ki thokren maar kar guzar jaate hain

गर्मियों के मौसम में
लालटैन की आग सेंकते हैं
तो ठंडा बल्ब मुस्कुराता है
और हमारी बेबसी पर मुँह चिड़ाता है

बहुत सी हड्डियाँ
खाल के थैले में पड़ी चुभती रहती हैं
रोज़ाना कई कुत्ते
ख़ुराक की तलाश में मसरूफ़
कचरे के ढेर पे
एक दूसरे पर ग़ुर्राते हैं

ज़मीन के बालों में कंघी करती
गर्म सर्द हवाएँ
ख़यालों की पुरानी देग में बास मारते ख़्वाब
कोलुहओं की भट्टी के पास जलता सर्द ख़ून
आहें भरती पैरों में बिखरी सिसकियाँ
अंजान सड़क पे उधड़ा पड़ा ला-वारिस पेट
जिसे अजनबी शो'बदा-बाज़
हँसी की ठोकरें मार कर गुज़र जाते हैं

  - Tabassum Zia

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Zia

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari