ik umr hui aur main apne se juda hoon | इक उम्र हुई और मैं अपने से जुदा हूँ

  - Tabish Siddiqui

ik umr hui aur main apne se juda hoon
khushboo ki tarah khud ko sada dhundh raha hoon

har lamha tiri yaad ke saaye mein kata hai
thak thak ke har ik gaam pe jab baith gaya hoon

tu laakh juda mujh se rahe paas hai mere
tu gumbad-e-hasti hai to main is ki sada hoon

har saans tiri baad-e-sehr ka koi jhonka
main phool nahin aur tire raaste mein khila hoon

tasveer ki har nok palak hai mere khun se
ik rang hoon main aur tire khwaabon mein ghula hoon

har saans chali aati hai jaan haath mein le kar
main sochta hoon main bhi koi koh-e-nida hoon

zinda hoon ki marna meri qismat mein likha hai
har roz gunaahon ki saza kaat raha hoon

ik aalam-e-tanhaai hai kuchh dekha hua sa
shaayad ki main apne hi biyaabaan mein khada hoon

ye haal mera meri mohabbat ka sila hai
jo apne hi daaman se bujha ho vo diya hoon

tu chaand hai main chaand ka anjaam-e-safar hoon
aankhon mein tiri door kahi doob gaya hoon

rusva hoon magar khud se chhupa firta hoon taabish
apne se nihaan saare zamaane pe khula hoon

इक उम्र हुई और मैं अपने से जुदा हूँ
ख़ुशबू की तरह ख़ुद को सदा ढूँड रहा हूँ

हर लम्हा तिरी याद के साए में कटा है
थक थक के हर इक गाम पे जब बैठ गया हूँ

तू लाख जुदा मुझ से रहे पास है मेरे
तू गुम्बद-ए-हस्ती है तो मैं इस की सदा हूँ

हर साँस तिरी बाद-ए-सहर का कोई झोंका
मैं फूल नहीं और तिरे रस्ते में खिला हूँ

तस्वीर की हर नोक पलक है मिरे ख़ूँ से
इक रंग हूँ मैं और तिरे ख़्वाबों में घुला हूँ

हर साँस चली आती है जाँ हाथ में ले कर
मैं सोचता हूँ मैं भी कोई कोह-ए-निदा हूँ

ज़िंदा हूँ कि मरना मिरी क़िस्मत में लिखा है
हर रोज़ गुनाहों की सज़ा काट रहा हूँ

इक आलम-ए-तन्हाई है कुछ देखा हुआ सा
शायद कि मैं अपने ही बयाबाँ में खड़ा हूँ

ये हाल मिरा मेरी मोहब्बत का सिला है
जो अपने ही दामन से बुझा हो वो दिया हूँ

तू चाँद है मैं चाँद का अंजाम-ए-सफ़र हूँ
आँखों में तिरी दूर कहीं डूब गया हूँ

रुस्वा हूँ मगर ख़ुद से छुपा फिरता हूँ 'ताबिश'
अपने से निहाँ सारे ज़माने पे खुला हूँ

  - Tabish Siddiqui

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tabish Siddiqui

As you were reading Shayari by Tabish Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Tabish Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari