isiliye to yahan ratjaga ziyaada hai
ki mere khwaab mein vo jaagta ziyaada hai
mujhe to door se aadat hai usko takne ki
so uska ek nazar dekhna ziyaada hai
use tameez bhi to honi chahiye thi phir
agar vo aap se likha padha ziyaada hai
main har kisi pe bahut aitibaar karti hoon
khushi ki baat hai par saanehaa ziyaada hai
इसीलिए तो यहाँ रतजगा ज़ियादा है
कि मेरे ख़्वाब में वो जागता ज़ियादा है
मुझे तो दूर से आदत है उसको तकने की
सो उसका एक नज़र देखना ज़ियादा है
उसे तमीज़ भी तो होनी चाहिए थी फिर
अगर वो आप से लिखा पढ़ा ज़ियादा है
मैं हर किसी पे बहुत ऐतिबार करती हूँ
ख़ुशी की बात है पर सानेहा ज़ियादा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tajdeed Qaiser
our suggestion based on Tajdeed Qaiser
As you were reading Nigaah Shayari Shayari