mat poochiye ke ham ne chhupaana hai chhodije
har gham labon pe kis liye laana hai chhodije
jab bhi main unke haath ko thaamun to vo kahein
naazir hamaara saara zamaana hai chhodije
apne ghamon ka un se kiya zikr aur phir
ye kah diya ye mahaj fasana hai chhodije
ik baat poochni thi zara aapse hamein
achha ye phir kabhi abhi jaana hai chhodije
kitna ise kaha ke na baaton mein aaya kar
lekin ye dil kahaan kabhi maana hai chhodije
aaye hain aap dekhne barbaadiyaan meri
ye milna mahaj ek bahaana hai chhodije
meri taraf ishaara kiya usne aur kaha
ye shakhs to bas ek deewana hai chhodije
मत पूछिए के हम ने छुपाना है छोड़िए
हर ग़म लबों पे किस लिए लाना है छोड़िए
जब भी मैं उनके हाथ को थामूँ तो वो कहें
नाज़िर हमारा सारा ज़माना है छोड़िए
अपने ग़मों का उन से किया ज़िक्र और फिर
ये कह दिया ये महज़ फ़साना है छोड़िए
इक बात पूछनी थी ज़रा आपसे हमें
अच्छा ये फिर कभी, अभी जाना है छोड़िए
कितना इसे कहा के न बातों में आया कर
लेकिन ये दिल कहाँ कभी माना है छोड़िए
आए हैं आप देखने बर्बादियाँ मिरी
ये मिलना महज़ एक बहाना है छोड़िए
मेरी तरफ़ इशारा किया उसने और कहा
ये शख़्स तो बस एक दिवाना है छोड़िए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haider Khan
our suggestion based on Haider Khan
As you were reading Dil Shayari Shayari