mere shaanon pe un ki zulf lahraai to kya hoga
mohabbat ko khunuk saaye mein neend aayi to kya hoga
pareshaan ho ke dil tark-e-taalluq par hai aamada
mohabbat mein ye soorat bhi na raas aayi to kya hoga
sar-e-mahfil vo mujh se be-sabab aankhen churaate hain
koi aise mein tohmat un ke sar aayi to kya hoga
mujhe paiham mohabbat ki nazar se dekhne waale
mere dil par tiri tasveer utar aayi to kya hoga
bahut masroor hain vo cheen kar dil ka sukoon unwaan
hujoom-e-gham mein bhi mujh ko hasi aayi to kya hoga
मिरे शानों पे उन की ज़ुल्फ़ लहराई तो क्या होगा
मोहब्बत को ख़ुनुक साए में नींद आई तो क्या होगा
परेशाँ हो के दिल तर्क-ए-तअल्लुक़ पर है आमादा
मोहब्बत में ये सूरत भी न रास आई तो क्या होगा
सर-ए-महफ़िल वो मुझ से बे-सबब आँखें चुराते हैं
कोई ऐसे में तोहमत उन के सर आई तो क्या होगा
मुझे पैहम मोहब्बत की नज़र से देखने वाले
मिरे दिल पर तिरी तस्वीर उतर आई तो क्या होगा
बहुत मसरूर हैं वो छीन कर दिल का सुकूँ 'उनवाँ'
हुजूम-ए-ग़म में भी मुझ को हँसी आई तो क्या होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Unwan Chishti
our suggestion based on Unwan Chishti
As you were reading Udasi Shayari Shayari