aaj achaanak phir ye kaisi khushboo phaili yaadon ki | आज अचानक फिर ये कैसी ख़ुशबू फैली यादों की

  - Unwan Chishti

aaj achaanak phir ye kaisi khushboo phaili yaadon ki
dil ko aadat chhoot chuki thi muddat se fariyadon ki

deewaanon ka bhes bana len ya soorat shahzaadon ki
door se pahchaani jaati hai shakl tire barbaadon ki

shart-e-sheereen kya poori ho tesha-o-jurat kuchh bhi nahin
ishq o havas ke mod pe yun to bheed hai ik farhaadon ki

ab bhi tire kooche mein hawaaein khaak udaati phirti hain
baaki hai ye ek rivaayat ab bhi tire barbaadon ki

koi tiri tasveer bana kar la na saka khoon-e-dil se
lagti hai har roz numaish yun to naye bahzaadon ki

आज अचानक फिर ये कैसी ख़ुशबू फैली यादों की
दिल को आदत छूट चुकी थी मुद्दत से फ़रियादों की

दीवानों का भेस बना लें या सूरत शहज़ादों की
दूर से पहचानी जाती है शक्ल तिरे बर्बादों की

शर्त-ए-शीरीं क्या पूरी हो तेशा-ओ-जुरअत कुछ भी नहीं
इश्क़ ओ हवस के मोड़ पे यूँ तो भीड़ है इक फ़रहादों की

अब भी तिरे कूचे में हवाएँ ख़ाक उड़ाती फिरती हैं
बाक़ी है ये एक रिवायत अब भी तिरे बर्बादों की

कोई तिरी तस्वीर बना कर ला न सका ख़ून-ए-दिल से
लगती है हर रोज़ नुमाइश यूँ तो नए बहज़ादों की

  - Unwan Chishti

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Unwan Chishti

As you were reading Shayari by Unwan Chishti

Similar Writers

our suggestion based on Unwan Chishti

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari