jab zulf shareer ho gai hai | जब ज़ुल्फ़ शरीर हो गई है

  - Unwan Chishti

jab zulf shareer ho gai hai
khud apni aseer ho gai hai

jannat ke mukaable mein duniya
aap apni nazeer ho gai hai

jo baat tiri zabaan se nikli
patthar ki lakeer ho gai hai

honton pe tire hasi machal kar
jalvo ki lakeer ho gai hai

jo aah meri zabaan se nikli
arjun ka vo teer ho gai hai

shaayad koi be-nazeer ban jaaye
vo badr-e-muneer ho gai hai

ai baad-e-saba tu choo ke gesu
khushboo ki safeer ho gai hai

aawaaz-e-shikast-e-dil hi unwaan
aawaaz-e-zameer ho gai hai

जब ज़ुल्फ़ शरीर हो गई है
ख़ुद अपनी असीर हो गई है

जन्नत के मुक़ाबले में दुनिया
आप अपनी नज़ीर हो गई है

जो बात तिरी ज़बाँ से निकली
पत्थर की लकीर हो गई है

होंटों पे तिरे हँसी मचल कर
जल्वों की लकीर हो गई है

जो आह मिरी ज़बाँ से निकली
अर्जुन का वो तीर हो गई है

शायद कोई बे-नज़ीर बन जाए
वो बदर-ए-मुनीर हो गई है

ऐ बाद-ए-सबा तू छू के गेसू
ख़ुशबू की सफ़ीर हो गई है

आवाज़-ए-शिकस्त-ए-दिल ही 'उनवाँ'
आवाज़-ए-ज़मीर हो गई है

  - Unwan Chishti

Jannat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Unwan Chishti

As you were reading Shayari by Unwan Chishti

Similar Writers

our suggestion based on Unwan Chishti

Similar Moods

As you were reading Jannat Shayari Shayari