rahne de takleef-e-tavajjoh dil ko hai aaraam bahut | रहने दे तकलीफ़-ए-तवज्जोह दिल को है आराम बहुत

  - Unwan Chishti

rahne de takleef-e-tavajjoh dil ko hai aaraam bahut
hijr mein teri yaad bahut hai gham mein tera naam bahut

baat kahaan un aankhon jaisi phool bahut hain jaam bahut
auron ko sarshaar banaayein khud hain tishna-kaam bahut

kuchh to batao ai farzaano deewaanon par kya guzri
shehr-e-tamanna ki galiyon mein barpa hai kohraam bahut

shughl-e-shikast-e-jaam-o-tauba paharon jaari rehta hai
ham aise thukraaye huoon ko may-khaane mein kaam bahut

dil-shikni o dildaari ki ramzon par hi kya mauqoof
un ki ek ik jumbish-e-lab mein pinhaan hain paighaam bahut

aansu jaise badaa-e-rangeen dhadkan jaise raqs-e-paree
haaye ye tere gham ki halaavat rehta hoon khush-kaam bahut

us ke taqaddus ke afsaane sab ki zabaan par jaari hain
us ki gali ke rahne waale phir bhi hain badnaam bahut

zakham ba-jaan hai khaak basar hai chaak ba-daamaan hai unwaan
bazm-e-jahaan mein raqs-e-wafaa par milte hain inaam bahut

रहने दे तकलीफ़-ए-तवज्जोह दिल को है आराम बहुत
हिज्र में तेरी याद बहुत है ग़म में तेरा नाम बहुत

बात कहाँ उन आँखों जैसी फूल बहुत हैं जाम बहुत
औरों को सरशार बनाएँ ख़ुद हैं तिश्ना-काम बहुत

कुछ तो बताओ ऐ फ़रज़ानो दीवानों पर क्या गुज़री
शहर-ए-तमन्ना की गलियों में बरपा है कोहराम बहुत

शुग़्ल-ए-शिकस्त-ए-जाम-ओ-तौबा पहरों जारी रहता है
हम ऐसे ठुकराए हुओं को मय-ख़ाने में काम बहुत

दिल-शिकनी ओ दिलदारी की रम्ज़ों पर ही क्या मौक़ूफ़
उन की एक इक जुम्बिश-ए-लब में पिन्हाँ हैं पैग़ाम बहुत

आँसू जैसे बादा-ए-रंगीं धड़कन जैसे रक़्स-ए-परी
हाए ये तेरे ग़म की हलावत रहता हूँ ख़ुश-काम बहुत

उस के तक़द्दुस के अफ़्साने सब की ज़बाँ पर जारी हैं
उस की गली के रहने वाले फिर भी हैं बदनाम बहुत

ज़ख़्म ब-जाँ है ख़ाक बसर है चाक ब-दामाँ है 'उनवाँ'
बज़्म-ए-जहाँ में रक़्स-ए-वफ़ा पर मिलते हैं इनआम बहुत

  - Unwan Chishti

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Unwan Chishti

As you were reading Shayari by Unwan Chishti

Similar Writers

our suggestion based on Unwan Chishti

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari