kahte hain azal jis ko us se bhi kahi pehle
eimaan mohabbat par laaye the humeen pehle
asraar-e-khud-aagaahi deewane samjhte hain
takmeel-e-junoon aakhir meraaj-e-yaqeen pehle
chamka diya sajdon ne naqsh-e-kaf-e-paa lekin
raushan to na thi itni ye meri jabeen pehle
har baar ye rah rah kar hota hai gumaan mujh ko
shaayad tire jalvo ko dekha tha kahi pehle
ye baat alag thehri ab ham ko na pahchaanein
mehfil mein magar un ki aaye the humeen pehle
ye raaz-e-mohabbat hai samjhega zamaana kya
tum haasil-e-deen aakhir ghaarat-gar-e-deen pehle
is kaar-e-numayaan ke shaahid hain chaman waale
gulshan mein bahaaron ko laaye the humeen pehle
taqdeer ki mukhtaari unwaan musallam hai
hoti hai mohabbat bhi majboor yahin pehle
कहते हैं अज़ल जिस को उस से भी कहीं पहले
ईमान मोहब्बत पर लाए थे हमीं पहले
असरार-ए-ख़ुद-आगाही दीवाने समझते हैं
तकमील-ए-जुनूँ आख़िर मेराज-ए-यक़ीं पहले
चमका दिया सज्दों ने नक़्श-ए-कफ़-ए-पा लेकिन
रौशन तो न थी इतनी ये मेरी जबीं पहले
हर बार ये रह रह कर होता है गुमाँ मुझ को
शायद तिरे जल्वों को देखा था कहीं पहले
ये बात अलग ठहरी अब हम को न पहचानें
महफ़िल में मगर उन की आए थे हमीं पहले
ये राज़-ए-मोहब्बत है समझेगा ज़माना क्या
तुम हासिल-ए-दीं आख़िर ग़ारत-गर-ए-दीं पहले
इस कार-ए-नुमायाँ के शाहिद हैं चमन वाले
गुलशन में बहारों को लाए थे हमीं पहले
तक़दीर की मुख़्तारी 'उनवान' मुसल्लम है
होती है मोहब्बत भी मजबूर यहीं पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Unwan Chishti
our suggestion based on Unwan Chishti
As you were reading Environment Shayari Shayari