zindabaad ai dasht ke manzar zindabaad | ज़िंदाबाद ऐ दश्त के मंज़र ज़िंदाबाद

  - Unwan Chishti

zindabaad ai dasht ke manzar zindabaad
shehar mein hai jalta hua har ghar zindabaad

kitne nau-umron ke qisse paak kiye
karfyu mein chalta hua khanjar zindabaad

tere mere rishton ke sangeen gawaah
tooti masjid jalta mandar zindabaad

aag lagi hai man ke baahar kya kahiye
phool khile hain man ke andar zindabaad

dil par ik ghanghor ghatta si chhaai hai
aankhon mein firta hai samundar zindabaad

ज़िंदाबाद ऐ दश्त के मंज़र ज़िंदाबाद
शहर में है जलता हुआ हर घर ज़िंदाबाद

कितने नौ-उम्रों के क़िस्से पाक किए
कर्फ़्यू में चलता हुआ ख़ंजर ज़िंदाबाद

तेरे मेरे रिश्तों के संगीन गवाह
टूटी मस्जिद जलता मंदर ज़िंदाबाद

आग लगी है मन के बाहर क्या कहिए
फूल खिले हैं मन के अंदर ज़िंदाबाद

दिल पर इक घनघोर घटा सी छाई है
आँखों में फिरता है समुंदर ज़िंदाबाद

  - Unwan Chishti

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Unwan Chishti

As you were reading Shayari by Unwan Chishti

Similar Writers

our suggestion based on Unwan Chishti

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari