kisi ke faiz-e-qurb se hayaat ab sanwar gai
nafs nafs mahak utha nazar nazar nikhar gai
nigaah-e-naaz jab uthi ajeeb kaam kar gai
jo rang-e-rukh uda diya to dil mein rang bhar gai
meri samajh mein aa gaya har ek raaz-e-zindagi
jo dil pe chot pad gai to door tak nazar gai
ab aas toot kar mujhe sukoon naseeb ho gaya
jo shaam-e-intizaar thi vo shaam to guzar gai
kali dil-e-tabah ki khili na chishti'-e-hazeen
khizaan bhi aa ke ja chuki bahaar bhi guzar gai
किसी के फ़ैज़-ए-क़ुर्ब से हयात अब सँवर गई
नफ़स नफ़स महक उठा नज़र नज़र निखर गई
निगाह-ए-नाज़ जब उठी अजीब काम कर गई
जो रंग-ए-रुख़ उड़ा दिया तो दिल में रंग भर गई
मिरी समझ में आ गया हर एक राज़-ए-ज़िंदगी
जो दिल पे चोट पड़ गई तो दूर तक नज़र गई
अब आस टूट कर मुझे सुकूँ नसीब हो गया
जो शाम-ए-इंतिज़ार थी वो शाम तो गुज़र गई
कली दिल-ए-तबाह की खिली न 'चिश्ती'-ए-हज़ीं
ख़िज़ाँ भी आ के जा चुकी बहार भी गुज़र गई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Unwan Chishti
our suggestion based on Unwan Chishti
As you were reading Ummeed Shayari Shayari