tiri talash ke maaron ki neend poori ho
zara tu baith ki pairo'n ki neend poori ho
visaal karke judaai ka naam tak na rahe
phir itna jaagen ki barson ki neend poori ho
khuda to chahega khwaabon mein sab rahein masroof
khuda to chahega bandon ki neend poori ho
tira bichadna ki bas jaagne ki doori pe hai
to kaise khauf ke maaron ki neend poori ho
ye roti paani ka jhagda hai aur logon ka
main chahta hoon ki logon ki neend poori ho
usi ki marzi ki kitnon ka chaukidaar rahe
usi ki marzi ki jitnon ki neend poori ho
jo ek jaage to dono ko iztiraab rahe
jo ek soye to dono ki neend poori ho
तिरी तलाश के मारों की नींद पूरी हो
ज़रा तू बैठ कि पैरों की नींद पूरी हो
विसाल करके जुदाई का नाम तक न रहे
फिर इतना जागें कि बरसों की नींद पूरी हो
ख़ुदा तो चाहेगा ख़्वाबों में सब रहें मसरूफ़
ख़ुदा तो चाहेगा बंदों की नींद पूरी हो
तिरा बिछड़ना कि बस जागने की दूरी पे है
तो कैसे ख़ौफ़ के मारों की नींद पूरी हो
ये रोटी पानी का झगड़ा है और लोगों का
मैं चाहता हूँ कि लोगों की नींद पूरी हो
उसी की मर्ज़ी कि कितनों का चौकीदार रहे
उसी की मर्ज़ी कि जितनों की नींद पूरी हो
जो एक जागे तो दोनों को इज़्तिराब रहे
जो एक सोए तो दोनों की नींद पूरी हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Usama Zoraiz
our suggestion based on Usama Zoraiz
As you were reading Justaju Shayari Shayari