dasht ko us ki rah bhatkaana theek nahin
vehshat ka yun aana jaana theek nahin
vo jo teri yaad mein dhadhke aur jiye
aise dil se waapas aana theek nahin
baar-e-nashaat se us dil ko mar jaane do
ro ro kar yun jee bahaana theek nahin
vo to aalam-e-shauq mein hai mahbooba ke
dil mar jaaye to dafnaana theek nahin
dard ko apni hiddat ka rang chadhne do
is ghaav ka yun sahlaana theek nahin
दश्त को उस की रह भटकाना ठीक नहीं
वहशत का यूँ आना जाना ठीक नहीं
वो जो तेरी याद में धड़के और जिए
ऐसे दिल से वापस आना ठीक नहीं
बार-ए-नशात से उस दिल को मर जाने दो
रो रो कर यूँ जी बहलाना ठीक नहीं
वो तो आलम-ए-शौक़ में है महबूबा के
दिल मर जाए तो दफ़नाना ठीक नहीं
दर्द को अपनी हिद्दत का रंग चढ़ने दो
इस घाव का यूँ सहलाना ठीक नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Uzma Naqvi
our suggestion based on Uzma Naqvi
As you were reading Ghayal Shayari Shayari