aankh mein teri shakl hai dil mein tira jamaal hai | आँख में तेरी शक्ल है दिल में तिरा जमाल है

  - Vahshi Kanpuri

aankh mein teri shakl hai dil mein tira jamaal hai
kis ko ye fursat-e-khyaal hijr hai ya visaal hai

us ki shikastagi na dekh us ke farogh par na ja
ishq to husn hi ka ek paratav-e-la-yazaal hai

teri nazar ki bijliyaan kaund gaeein kahaan kahaan
farsh se arsh tak tamaam roshani-e-jamaal hai

pehle tha iztiraab-e-dil rooh-e-ravaan-e-aashiqi
rah-e-fana mein ab yahi maane-e-ittisaal hai

ab na vo fikr-e-naama-bar aur na vo iztiraab-e-dil
apna jawaab aap hi ab mera har sawaal hai

आँख में तेरी शक्ल है दिल में तिरा जमाल है
किस को ये फ़ुर्सत-ए-ख़याल हिज्र है या विसाल है

उस की शिकस्तगी न देख उस के फ़रोग़ पर न जा
इश्क़ तो हुस्न ही का एक परतव-ए-ला-यज़ाल है

तेरी नज़र की बिजलियाँ कौंद गईं कहाँ कहाँ
फ़र्श से अर्श तक तमाम रौशनी-ए-जमाल है

पहले था इज़्तिराब-ए-दिल रूह-ए-रवान-ए-आशिक़ी
राह-ए-फ़ना में अब यही माने-ए-इत्तिसाल है

अब न वो फ़िक्र-ए-नामा-बर और न वो इज़्तिराब-ए-दिल
अपना जवाब आप ही अब मिरा हर सवाल है

  - Vahshi Kanpuri

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vahshi Kanpuri

As you were reading Shayari by Vahshi Kanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Vahshi Kanpuri

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari