koi zarra jo dil ki khaak ka barbaad hota hai
jahaan-e-ishq mein shor-e-mubaarakbaad hota hai
na poocho kya suroor-e-lazzat-e-bedaad hota hai
jab aghosh-e-mohabbat mein dil-e-naashaad hota hai
khuda jaane ye kya daam-e-bala hai gulshan-e-hasti
jidhar parvaaz karta hoon udhar sayyaad hota hai
ye dars-e-ishq bhi kaisa anokha dars hai ya-rab
ki jitna bhoolta jaata hoon utna yaad hota hai
jo teri yaad mein girta hai ban kar gauhar-e-maqsad
wahi ashk-e-mohabbat haasil-e-roodaad hota hai
koi shoreeda-sar paaband-e-zindaan ho nahin saka
bagoola apni zanjeeron mein bhi azaad hota hai
jo wahshi ki tarah hota hai paaband-e-gham-e-jaanaan
wahi to bas gham-e-dauraan se bhi azaad hota hai
कोई ज़र्रा जो दिल की ख़ाक का बर्बाद होता है
जहान-ए-इश्क़ में शोर-ए-मुबारकबाद होता है
न पूछो क्या सुरूर-ए-लज़्ज़त-ए-बेदाद होता है
जब आग़ोश-ए-मोहब्बत में दिल-ए-नाशाद होता है
ख़ुदा जाने ये क्या दाम-ए-बला है गुलशन-ए-हस्ती
जिधर परवाज़ करता हूँ उधर सय्याद होता है
ये दर्स-ए-इश्क़ भी कैसा अनोखा दरस है या-रब
कि जितना भूलता जाता हूँ उतना याद होता है
जो तेरी याद में गिरता है बन कर गौहर-ए-मक़्सद
वही अश्क-ए-मोहब्बत हासिल-ए-रूदाद होता है
कोई शोरीदा-सर पाबंद-ए-ज़िंदाँ हो नहीं सकता
बगूला अपनी ज़ंजीरों में भी आज़ाद होता है
जो 'वहशी' की तरह होता है पाबंद-ए-ग़म-ए-जानाँ
वही तो बस ग़म-ए-दौराँ से भी आज़ाद होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vahshi Kanpuri
our suggestion based on Vahshi Kanpuri
As you were reading Dil Shayari Shayari