zameen se aasmaan tak aasmaan se la-makaan tak hai
zara parvaaz-e-musht-e-khaak to dekho kahaan tak hai
talaash-o-justujoo ki had faqat naam-o-nishaan tak hai
suraagh-e-kaarvaan bhi bas ghubaar-e-kaarvaan tak hai
jabeen-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-sa-aadat de
ye zouq-e-bandagi mahdood sang-e-aastaan tak hai
saraapa aarzoo ban kar kamaal-e-muddaa ho ja
vo nang-e-ishq hai jo aarzoo aah-o-fughaan tak hai
badhaaye ja qadam raah-e-talab mein shauq se wahshi
ki had-e-saii-e-la-haasil faqat kaun-o-makaan tak hai
ज़मीं से आसमाँ तक आसमाँ से ला-मकाँ तक है
ज़रा पर्वाज़-ए-मुश्त-ए-ख़ाक तो देखो कहाँ तक है
तलाश-ओ-जुस्तुजू की हद फ़क़त नाम-ओ-निशाँ तक है
सुराग़-ए-कारवाँ भी बस ग़ुबार-ए-कारवाँ तक है
जबीन-ए-शौक़ को कुछ और भी इज़्न-ए-सआदत दे
ये ज़ौक़-ए-बंदगी महदूद संग-ए-आस्ताँ तक है
सरापा आरज़ू बन कर कमाल-ए-मुद्दआ हो जा
वो नंग-ए-इश्क़ है जो आरज़ू आह-ओ-फ़ुग़ाँ तक है
बढ़ाए जा क़दम राह-ए-तलब में शौक़ से 'वहशी'
कि हद-ए-सई-ए-ला-हासिल फ़क़त कौन-ओ-मकाँ तक है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vahshi Kanpuri
our suggestion based on Vahshi Kanpuri
As you were reading Falak Shayari Shayari