aakhir vo iztiraab ke din bhi guzar gaye
jab dil-e-harif-e-aatish-e-qahar-o-itaab tha
jaan doston ki charagari se labon pe thi
sar dushmanon ki sang-zanee se azaab tha
daaman-e-sagan koo-e-mohabbat se taar taar
chehra kharaash-e-dast-e-junoon se kharab tha
waan aetimaad-e-mask-e-siyaasat ki had na thi
yaa aetibaar-e-naala-e-dil be-hisaab tha
har baat sufiyon ki tarah pech-o-kham liye
har lafz shaairon ki tarah intikhaab tha
har jalwa ek daftar aashob-e-rozgaar
har ghamza ilm-e-fitna-gari ki kitaab tha
khwaabida har nazar mein banaaye fasaad-e-khalq
poshida har ravish mein naya inqilaab tha
aaj is ghazal mein ham pe qayamat guzar gai
kya garmi-e-khyaal thi kya iltihaab tha
आख़िर वो इज़्तिराब के दिन भी गुज़र गए
जब दिल-ए-हरीफ़-ए-आतिश-ए-क़हर-ओ-इताब था
जाँ दोस्तों की चारागरी से लबों पे थी
सर दुश्मनों की संग-ज़नी से अज़ाब था
दामन-ए-सगान कू-ए-मोहब्बत से तार तार
चेहरा ख़राश-ए-दस्त-ए-जुनूँ से ख़राब था
वाँ ए'तिमाद-ए-मश्क़-ए-सियासत की हद न थी
याँ ए'तिबार-ए-नाला-ए-दिल बे-हिसाब था
हर बात सूफ़ियों की तरह पेच-ओ-ख़म लिए
हर लफ़्ज़ शाइरों की तरह इंतिख़ाब था
हर जल्वा एक दफ़्तर आशोब-ए-रोज़गार
हर ग़म्ज़ा इलम-ए-फ़ित्ना-गरी की किताब था
ख़्वाबीदा हर नज़र में बनाए फ़साद-ए-ख़ल्क़
पोशीदा हर रविश में नया इंक़लाब था
आज इस ग़ज़ल में हम पे क़यामत गुज़र गई
क्या गर्मी-ए-ख़याल थी क्या इल्तिहाब था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Varis Kirmani
our suggestion based on Varis Kirmani
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari