baaton ka martabaan achaanak chhoot gaya hai haathon se
baaton ke naazuk jism ab lafzon ki kirchon se
zakhmi hai aur lahooluhaan be-bas se hain
khayal aur maani bhi uchhal kar door pade hain kone mein
rote se bilkhte se
saare ehsaas pade hai farsh pe mar kar
bhaar ponch kar samet luun phir bhi chakhte to na mitenge
बातों का मर्तबान अचानक छूट गया है हाथों से
बातों के नाज़ुक जिस्म अब लफ़्ज़ों की किरचों से
ज़ख़्मी है और लहूलुहान बे-बस से हैं
ख़याल और मा'नी भी उछल कर दूर पड़े हैं कोने में
रोते से बिलखते से
सारे एहसास पड़े है फ़र्श पे मर कर
भार पोंछ कर समेट लूँ फिर भी चखते तो न मिटेंगे
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Varsha Gorchhia
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari