dhoop shajar ko geet sunaaye aati hai
titli saare rang churaaye aati hai
un ashaar ka khush hona to laazim hai
jin ashaar pe un ki raay aati hai
thodi der mein train nikalne waali hai
sun thodi hi der mein chaai aati hai
is lamhe par lag jaate hain ghar ko bhi
jab jab vo is samt saraaye aati hai
ya'ni us ne thaan hi li hai jaane ki
vo poora samaan uthaaye aati hai
khoon bahaati hai baasit kohsaaron par
shaam andheri raat chhupaaye aati hai
धूप शजर को गीत सुनाए आती है
तितली सारे रंग चुराए आती है
उन अशआ'र का ख़ुश होना तो लाज़िम है
जिन अशआ'र पे उन की राय आती है
थोड़ी देर में ट्रेन निकलने वाली है
सुन थोड़ी ही देर में चाय आती है
इस लम्हे पर लग जाते हैं घर को भी
जब जब वो इस सम्त सराए आती है
या'नी उस ने ठान ही ली है जाने की
वो पूरा सामान उठाए आती है
ख़ून बहाती है 'बासित' कोहसारों पर
शाम अँधेरी रात छुपाए आती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vasaf Basit
our suggestion based on Vasaf Basit
As you were reading Garmi Shayari Shayari