andaroon neend ka ik khaali makaan hota tha
meri aankhon mein tira khwaab nihaan hota tha
roz jaate the bahut door talak ham dono
par ye ma'aloom nahin hai main kahaan hota tha
dasht ke paar bahut door thi ik aabaadi
aur us samt bahut gahra dhuaan hota tha
khauf ke ba'ad bhi vehshat hi nazar aati thi
vahshaton se bhi pare koi jahaan hota tha
main kahaani se bahut door nikal aaya tha
mera kirdaar kahi aur bayaan hota tha
अंदरूँ नींद का इक ख़ाली मकाँ होता था
मेरी आँखों में तिरा ख़्वाब निहाँ होता था
रोज़ जाते थे बहुत दूर तलक हम दोनों
पर ये मा'लूम नहीं है मैं कहाँ होता था
दश्त के पार बहुत दूर थी इक आबादी
और उस सम्त बहुत गहरा धुआँ होता था
ख़ौफ़ के बा'द भी वहशत ही नज़र आती थी
वहशतों से भी परे कोई जहाँ होता था
मैं कहानी से बहुत दूर निकल आया था
मेरा किरदार कहीं और बयाँ होता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vasaf Basit
our suggestion based on Vasaf Basit
As you were reading Dar Shayari Shayari