ek tasveer jo tashkeel nahin ho paai | एक तस्वीर जो तश्कील नहीं हो पाई

  - Vasaf Basit

ek tasveer jo tashkeel nahin ho paai
canvas par kabhi takmeel nahin ho paai

ye jo ik bheed hai ye bheed ki badi muddat se
meri tanhaai mein tahleel nahin ho paai

teergi ne koi ta'aweez kiya hai shaayad
is liye raushni tarseel nahin ho paai

main ne har lafz nibhaaya tha badi shiddat se
par meri shaay'ri injil nahin ho paai

saara samaan tha maujood meri gathri mein
haan magar haath mein qindeel nahin ho paai

phir kisi raat vo kohsaar pe baitha bola
chaandni-raat ki tamsil nahin ho paai

kis tarah main unhen mahfooz rakhoonga baasit
khwahishon ki koi zambil nahin ho paai

एक तस्वीर जो तश्कील नहीं हो पाई
कैनवस पर कभी तकमील नहीं हो पाई

ये जो इक भीड़ है ये भीड़ की बड़ी मुद्दत से
मेरी तन्हाई में तहलील नहीं हो पाई

तीरगी ने कोई ता'वीज़ किया है शायद
इस लिए रौशनी तर्सील नहीं हो पाई

मैं ने हर लफ़्ज़ निभाया था बड़ी शिद्दत से
पर मिरी शाइ'री इंजील नहीं हो पाई

सारा सामान था मौजूद मेरी गठरी में
हाँ मगर हाथ में क़िंदील नहीं हो पाई

फिर किसी रात वो कोहसार पे बैठा बोला
चाँदनी-रात की तमसील नहीं हो पाई

किस तरह मैं उन्हें महफ़ूज़ रखूँगा 'बासित'
ख़्वाहिशों की कोई ज़म्बील नहीं हो पाई

  - Vasaf Basit

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vasaf Basit

As you were reading Shayari by Vasaf Basit

Similar Writers

our suggestion based on Vasaf Basit

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari