mahtaab fazaa ke aaine mein
dekha tha khuda ke aaine mein
tum khwaab se do-qadam nikal kar
chhup jaao dua ke aaine mein
gehraaiyaan naapta rahoonga
dekhoonga khala ke aaine mein
is ped ka dar bata raha hai
toofaan-e-hawaa ke aaine mein
chehra hai magar tilism jaisa
chhup jaaye dara ke aaine mein
chal khwaab samet doob jaayen
poshaak hata ke aaine mein
main kaash sitaare paint kar luun
aflaak bana ke aaine mein
महताब फ़ज़ा के आइने में
देखा था ख़ुदा के आइने में
तुम ख़्वाब से दो-क़दम निकल कर
छुप जाओ दुआ के आइने में
गहराइयाँ नापता रहूँगा
देखूँगा ख़ला के आइने में
इस पेड़ का डर बता रहा है
तूफ़ान-ए-हवा के आइने में
चेहरा है मगर तिलिस्म जैसा
छुप जाए डरा के आइने में
चल ख़्वाब समेत डूब जाएँ
पोशाक हटा के आइने में
मैं काश सितारे पैंट कर लूँ
अफ़्लाक बना के आइने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vasaf Basit
our suggestion based on Vasaf Basit
As you were reading Wahshat Shayari Shayari