ghar tumhein apna ab sajaana hai
aur tumhein mujhko bhi bhulaana hai
mere apne sabhi gaye hain mar
ye sabhi ko tumhein bataana hai
ab main beshak yahan pe mar jaaun
ghar nahin tumko mere aana hai
ab udaasi pe odh lo chadar
umr bhar tumko muskurana hai
tujhko uske hawaale karke ab
mujhko ik dariya paar jaana hai
घर तुम्हें अपना अब सजाना है
और तुम्हें मुझको भी भुलाना है
मेरे अपने सभी गए हैं मर
ये सभी को तुम्हें बताना है
अब मैं बेशक यहाँ पे मर जाऊँ
घर नहीं तुमको मेरे आना है
अब उदासी पे ओढ़ लो चादर
उम्र भर तुमको मुस्कुराना है
तुझको उसके हवाले करके अब
मुझको इक दरिया पार जाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Depression Shayari Shayari