tum kahaan ho mujhko kuchh batlaao to | तुम कहाँ हो मुझको कुछ बतलाओ तो

  - Vaseem 'Haidar'

tum kahaan ho mujhko kuchh batlaao to
main yahan tanhaa hoon tum yaa aao to

tum to maahir ho adaakaari mein ab
so mujhe kaise bhi tum bahlaao to

mujhko uski hai zaroorat khoob hi
ye khabar tum shehar mein failao to

kah rahi ho hijr mein raatein kati
meri duniya mein yahan aa jaao to

vo raha mera sitamgar dekho to
us pe koi zulm tum ik dhaao to

kaise tumse ishq kar baithe yahan
mere dil mein khud ko tum thehraao to

ye shikaayat tum jo lekar baithi ho
pehle meri ghalti tum ginwaao to

तुम कहाँ हो मुझको कुछ बतलाओ तो
मैं यहाँ तन्हा हूँ, तुम याँ आओ तो

तुम तो माहिर हो अदाकारी में अब
सो मुझे कैसे भी तुम बहलाओ तो

मुझको उसकी है ज़रूरत ख़ूब ही
ये ख़बर तुम शहर में फैलाओ तो

कह रही हो हिज्र में रातें कटी
मेरी दुनिया में यहाँ आ जाओ तो

वो रहा मेरा सितमगर देखो तो
उस पे कोई ज़ुल्म तुम इक ढाओ तो

कैसे तुमसे इश्क़ कर बैठे यहाँ
मेरे दिल में ख़ुद को तुम ठहराओ तो

ये शिकायत तुम जो लेकर बैठी हो
पहले मेरी ग़लती तुम गिनवाओ तो

  - Vaseem 'Haidar'

Zulm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Zulm Shayari Shayari