yaar kiske liye tum saji baithi ho
chhod ke mujhko dulhan bani baithi ho
tumne hi mujhko thukraaya tha jaan-e-jaan
sab to hain saath mein kyun dukhi baithi ho
mere khwaabon mein ik din vo aaye kabhi
aur mujhe yun lage zindagi baithi ho
jab kabhi usse milne wahan jaaun to
meri paayal wahan baandhti baithi ho
subah hote hi milne use jaaun main
aur vo mere liye shaam kii baithi ho
apni chhat par vo jaaye tahalne kabhi
shaant apni jagah chaandni baithi ho
ik tamannaa hai meri yahi sadiyon se
vo mere hujre mein phool sii baithi ho
apna ye haal-e-dil tumko kaise kahein
jaan-e-jaan itni tum door hi baithi ho
apna tu hosh haider ganwaana nahin
gar vo mere gale se lagi baithi ho
यार किसके लिए तुम सजी बैठी हो
छोड़ के मुझको दुल्हन बनी बैठी हो
तुमने ही मुझको ठुकराया था जान-ए-जाँ
सब तो हैं साथ में क्यों दुखी बैठी हो
मेरे ख़्वाबों में इक दिन वो आए कभी
और मुझे यूँ लगे ज़िंदगी बैठी हो
जब कभी उससे मिलने वहाँ जाऊँ तो
मेरी पायल वहाँ बाँधती बैठी हो
सुब्ह होते ही मिलने उसे जाऊँ मैं
और वो मेरे लिए शाम की बैठी हो
अपनी छत पर वो जाए टहलने कभी
शांत अपनी जगह चाँदनी बैठी हो
इक तमन्ना है मेरी यही सदियों से
वो मिरे हुजरे में फूल सी बैठी हो
अपना ये हाल-ए-दिल तुमको कैसे कहें
जान-ए-जाँ इतनी तुम दूर ही बैठी हो
अपना तू होश 'हैदर' गँवाना नहीं
गर वो मेरे गले से लगी बैठी हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Manzil Shayari Shayari