usne mujhe chaaha zaroorat ke liye
aur main sada tadpa muhabbat ke liye
barbaad mujhko aur thoda hone do
aayegi vo ik din ayaadat ke liye
ab to kisi ka bhi mujhe rona nahin
maine use chaaha tha furqat ke liye
jisne mujhe barbaad karke rakh diya
rota hoon main us ek aurat ke liye
usse mujhe kuchh poochna bhi tha nahin
phir bhi saheli thi himayat ke liye
achha kiya usne mujhe tanhaa kiya
koii to ho duniya mein nafrat ke liye
उसने मुझे चाहा ज़रूरत के लिए
और मैं सदा तड़पा मुहब्बत के लिए
बरबाद मुझको और थोड़ा होने दो
आएगी वो इक दिन अयादत के लिए
अब तो किसी का भी मुझे रोना नहीं
मैंने उसे चाहा था फ़ुर्क़त के लिए
जिसने मुझे बरबाद करके रख दिया
रोता हूँ मैं उस एक औरत के लिए
उससे मुझे कुछ पूछना भी था नहीं
फिर भी सहेली थी हिमायत के लिए
अच्छा किया उसने मुझे तन्हा किया
कोई तो हो दुनिया में नफ़रत के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Broken Shayari Shayari