meri qismat mein ye safar hai ab | मेरी क़िस्मत में ये सफ़र है अब

  - Vaseem 'Haidar'

meri qismat mein ye safar hai ab
main hoon shayar vo apne ghar hai ab

phone par baat vo nahin karti
kho na doon usko mujhko dar hai ab

zakham itne mujhe diye usne
haaye ye dil lahu mein tar hai ab

dil mera mom ka tha pehle to
mera kambakht dil hazar hai ab

मेरी क़िस्मत में ये सफ़र है अब
मैं हूँ शायर वो अपने घर है अब

फ़ोन पर बात वो नहीं करती
खो न दूँ उसको मुझको डर है अब

ज़ख़्म इतने मुझे दिए उसने
हाए ये दिल लहू में तर है अब

दिल मिरा मोम का था पहले तो
मेरा कमबख़्त दिल हजर है अब

  - Vaseem 'Haidar'

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari