tumhaare khazaane mein kya kuchh nahin
hamaare muqaddar mein tha kuchh nahin
jise chahe jo kuchh samajh leejie
haqeeqat mein achha-bura kuchh nahin
kahoon kya koi sunne waala bhi ho
mere paas kehne ko kya kuchh nahin
meri baat sarkaar ne sun to li
meri baat sun kar kaha kuchh nahin
banaane ko kya kuchh banaya gaya
magar is se apna bana kuchh nahin
mohabbat mein ye tajruba ho gaya
mohabbat mein gham ke siva kuchh nahin
mile un se milne ko sau baar ham
magar un se mil kar mila kuchh nahin
jiye ja rahe hai jiye ja rahe
magar zindagi mein maza kuchh nahin
sabhi kuchh suna kar bhi sarshaar ko
vo kahte hain ham ne kaha kuchh nahin
तुम्हारे ख़ज़ाने में क्या कुछ नहीं
हमारे मुक़द्दर में था कुछ नहीं
जिसे चाहे जो कुछ समझ लीजिए
हक़ीक़त में अच्छा-बुरा कुछ नहीं
कहूँ क्या कोई सुनने वाला भी हो
मेरे पास कहने को क्या कुछ नहीं
मेरी बात सरकार ने सुन तो ली
मेरी बात सुन कर कहा कुछ नहीं
बनाने को क्या कुछ बनाया गया
मगर इस से अपना बना कुछ नहीं
मोहब्बत में ये तज्रबा हो गया
मोहब्बत में ग़म के सिवा कुछ नहीं
मिले उन से मिलने को सौ बार हम
मगर उन से मिल कर मिला कुछ नहीं
जिए जा रहे है जिए जा रहे
मगर ज़िंदगी में मज़ा कुछ नहीं
सभी कुछ सुना कर भी 'सरशार' को
वो कहते हैं हम ने कहा कुछ नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ved Prakash Malik Sarshar
our suggestion based on Ved Prakash Malik Sarshar
As you were reading I love you Shayari Shayari