saikdon gham ki sougaat de kar mujhe
phir ye kahte hain ham ne diya kuchh nahin
aur bhi kuchh bacha ho to de do hamein
taaki ye kah sako ke bacha kuchh nahin
tum gira do nazar se kisi ko agar
is se badh kar to us ki saza kuchh nahin
kar to luun zindagi mein mohabbat sanam
par mohabbat mein gham ke siva kuchh nahin
chal ke thak jaaie thak ke mar jaaie
ye vo manzil hai jis ka pata kuchh nahin
kya hua hai bata kyun hai mujh se khafa
main ne ab tak to tujh se kaha kuchh nahin
ek teri mohabbat ka tha aasraa
ab meri zindagi mein raha kuchh nahin
thi ye hasrat ki un se mila deejie
ham ko mil ke bhi un se mila kuchh nahin
kar diya hai mujhe us ne barbaad yun
ki gaya kuchh nahin aur raha kuchh nahin
yun banaane ko sab kuchh banaya gaya
par magar us se apna bana kuchh nahin
सैंकड़ों ग़म की सौग़ात दे कर मुझे
फिर ये कहते हैं हम ने दिया कुछ नहीं
और भी कुछ बचा हो तो दे दो हमें
ताकि ये कह सको के बचा कुछ नहीं
तुम गिरा दो नज़र से किसी को अगर
इस से बढ़ कर तो उस की सज़ा कुछ नहीं
कर तो लूँ ज़िंदगी में मोहब्बत सनम
पर मोहब्बत में ग़म के सिवा कुछ नहीं
चल के थक जाइए थक के मर जाइए
ये वो मंज़िल है जिस का पता कुछ नहीं
क्या हुआ है बता क्यों है मुझ से ख़फ़ा
मैं ने अब तक तो तुझ से कहा कुछ नहीं
एक तेरी मोहब्बत का था आसरा
अब मिरी ज़िंदगी में रहा कुछ नहीं
थी ये हसरत की उन से मिला दीजिए
हम को मिल के भी उन से मिला कुछ नहीं
कर दिया है मुझे उस ने बर्बाद यूँ
कि गया कुछ नहीं और रहा कुछ नहीं
यूँ बनाने को सब कुछ बनाया गया
पर मगर उस से अपना बना कुछ नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ved Prakash Malik Sarshar
our suggestion based on Ved Prakash Malik Sarshar
As you were reading Gham Shayari Shayari