kahaan tak sunoge zamaane ki baatein | कहाँ तक सुनोगे ज़माने की बातें

  - Ved Prakash Malik Sarshar

kahaan tak sunoge zamaane ki baatein
ye ik doosre ko ladaane ki baatein

mohabbat se rahte the aapas mein ham tum
tumhein yaad hain us zamaane ki baatein

zamaane mein apni ye haalat na hoti
na sunte agar ham zamaane ki baatein

hai duniya ko amn-o-sukoon ki zaroorat
karo khatm toofaan uthaane ki baatein

kuchh us ki ravish ko nahin dekhte ham
sune ja rahe hain zamaane ki baatein

na tum mit sakoge na ham hi mitenge
galat hain ye mitne mitaane ki baatein

zamaana zamaana sitamgar zamaana
tumhein kya bataayein zamaane ki baatein

karein fikr kuchh apne sood-o-ziyaan ki
bahut sun chuke ham zamaane ki baatein

कहाँ तक सुनोगे ज़माने की बातें
ये इक दूसरे को लड़ाने की बातें

मोहब्बत से रहते थे आपस में हम तुम
तुम्हें याद हैं उस ज़माने की बातें

ज़माने में अपनी ये हालत न होती
न सुनते अगर हम ज़माने की बातें

है दुनिया को अम्न-ओ-सुकूँ की ज़रूरत
करो ख़त्म तूफ़ाँ उठाने की बातें

कुछ उस की रविश को नहीं देखते हम
सुने जा रहे हैं ज़माने की बातें

न तुम मिट सकोगे न हम ही मिटेंगे
ग़लत हैं ये मिटने मिटाने की बातें

ज़माना ज़माना सितमगर ज़माना
तुम्हें क्या बताएँ ज़माने की बातें

करें फ़िक्र कुछ अपने सूद-ओ-ज़ियाँ की
बहुत सुन चुके हम ज़माने की बातें

  - Ved Prakash Malik Sarshar

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ved Prakash Malik Sarshar

As you were reading Shayari by Ved Prakash Malik Sarshar

Similar Writers

our suggestion based on Ved Prakash Malik Sarshar

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari