yahi pe baat atki hai main kuchh hone se darta hoon
jise paaya nahin hai main use khone se darta hoon
hamaare saamne kii cheez hi dikhti nahin ham ko
hua maaloom ye khokar ki main khone se darta hoon
nazar khud ko laga doonga laga dar mujh ko rehta hai
main jab bhi muskurata hoon tabhi rone se darta hoon
madad sab jaankar bhi main tumhaari kar na paaoonga
yahi kaaran hai jo main raasta hone se darta hoon
lagega dekhne se ye tumhein jaaga hua hoon main
magar sacchaai to ye hai ki main sone se darta hoon
sukoon aata hai phir bhi baith ke kamre ke kone mein
magar kona to aakhir kona hai kone se darta hoon
यही पे बात अटकी है मैं कुछ होने से डरता हूँ
जिसे पाया नहीं है मैं उसे खोने से डरता हूँ
हमारे सामने की चीज़ ही दिखती नहीं हम को
हुआ मालूम ये खोकर कि मैं खोने से डरता हूँ
नज़र ख़ुद को लगा दूँगा लगा डर मुझ को रहता है
मैं जब भी मुस्कुराता हूँ तभी रोने से डरता हूँ
मदद सब जानकर भी मैं तुम्हारी कर न पाऊँगा
यही कारण है जो मैं रास्ता होने से डरता हूँ
लगेगा देखने से ये तुम्हें जागा हुआ हूँ मैं
मगर सच्चाई तो ये है कि मैं सोने से डरता हूँ
सुकून आता है फिर भी बैठ के कमरे के कोने में
मगर कोना तो आख़िर कोना है कोने से डरता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vibhu Raj
our suggestion based on Vibhu Raj
As you were reading Anjam Shayari Shayari