ik samundar ke hawaale saare khat karta raha | इक समुंदर के हवाले सारे ख़त करता रहा

  - Vilas Pandit Musafir

ik samundar ke hawaale saare khat karta raha
vo hamaare saath apne gham galat karta raha

kya kisi badlaav se ye zindagi badli kabhi
kyun nayi vo roz apni shakh'siyyat karta raha

us ki tanhaai ka aalam dosto mat poochiye
ghar ki har deewaar se vo maslahat karta raha

thi khabar ab apne haq mein kuchh nahin baaki raha
jaan kar main kaaghazon par dastkhat karta raha

haan use shaayar zamaana kah raha hai in dinon
jo deewana apne gham ki tarbiyat karta raha

aaj samjha thokron ke b'ad bhi hai zindagi
kyun ata mujh ko musafir ye sifat karta raha

इक समुंदर के हवाले सारे ख़त करता रहा
वो हमारे साथ अपने ग़म ग़लत करता रहा

क्या किसी बदलाव से ये ज़िंदगी बदली कभी
क्यूँ नई वो रोज़ अपनी शख़्सिय्यत करता रहा

उस की तन्हाई का आलम दोस्तो मत पूछिए
घर की हर दीवार से वो मस्लहत करता रहा

थी ख़बर अब अपने हक़ में कुछ नहीं बाक़ी रहा
जान कर मैं काग़ज़ों पर दस्तख़त करता रहा

हाँ उसे शाएर ज़माना कह रहा है इन दिनों
जो दिवाना अपने ग़म की तर्बियत करता रहा

आज समझा ठोकरों के ब'अद भी है ज़िंदगी
क्यूँ अता मुझ को 'मुसाफ़िर' ये सिफ़त करता रहा

  - Vilas Pandit Musafir

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vilas Pandit Musafir

As you were reading Shayari by Vilas Pandit Musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vilas Pandit Musafir

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari