apni to guzri hai akshar apni hi man-maani mein
lekin achhe kaam bhi ham ne kar dale nadaani mein
ham thehre aawaara panchi sair gagan ki karte hain
jaan ke ham ko kya karna hai kaun hai kitne paani mein
rooh ko us ki raah ka patthar banna hi manzoor na tha
baazi ham ne hi jeeti hai apni is qurbaani mein
yaar nayi kuchh baat agar ho ham bhi sajda kar lenge
akshar ek hi baat sooni hai sab santon ki baani mein
mehnat kar ke ham to aakhir bhooke bhi so jaayenge
ya maula tu barkat rakhna bacchon ki gud-dhaani mein
mauqe to ham tak bhi aaye khoob kama kha lete ham
lekin ek zameer tha bheetar allah ki nigraani mein
अपनी तो गुज़री है अक्सर अपनी ही मन-मानी में
लेकिन अच्छे काम भी हम ने कर डाले नादानी में
हम ठहरे आवारा पंछी सैर गगन की करते हैं
जान के हम को क्या करना है कौन है कितने पानी में
रूह को उस की राह का पत्थर बनना ही मंज़ूर न था
बाज़ी हम ने ही जीती है अपनी इस क़ुर्बानी में
यार नई कुछ बात अगर हो हम भी सज्दा कर लेंगे
अक्सर एक ही बात सुनी है सब संतों की बानी में
मेहनत कर के हम तो आख़िर भूके भी सो जाएँगे
या मौला तू बरकत रखना बच्चों की गुड़-धानी में
मौक़े तो हम तक भी आए ख़ूब कमा खा लेते हम
लेकिन एक ज़मीर था भीतर अल्लाह की निगरानी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vilas Pandit Musafir
our suggestion based on Vilas Pandit Musafir
As you were reading Raasta Shayari Shayari