tanhaai mein dikhte lamhe jab kuchh yaad dilaate hain
saaye saaye kitne chehre aankhon mein phir jaate hain
ab to achhe dil waalon ka qahat sa padta jaata hai
lekin naqli chehre waale dil apna bharamaate hain
choo jaati hai jab bhi aa kar yaadon ki purvaai si
nanhe nanhe kitne deepak palkon mein jal jaate hain
apnon mein begaana ban kar zinda rahna mushkil hai
lekin dekh zamaane ham ko ham jee kar dikhlaate hain
jaane kab se ham baithe hain sochon ke chaurahe par
chaurangi ka mela hai jag ham bhi dekhe jaate hain
तन्हाई में दिखते लम्हे जब कुछ याद दिलाते हैं
साए साए कितने चेहरे आँखों में फिर जाते हैं
अब तो अच्छे दिल वालों का क़हत सा पड़ता जाता है
लेकिन नक़ली चेहरे वाले दिल अपना भरमाते हैं
छू जाती है जब भी आ कर यादों की पुर्वाई सी
नन्हे नन्हे कितने दीपक पलकों में जल जाते हैं
अपनों में बेगाना बन कर ज़िंदा रहना मुश्किल है
लेकिन देख ज़माने हम को हम जी कर दिखलाते हैं
जाने कब से हम बैठे हैं सोचों के चौराहे पर
चौरंगी का मेला है जग हम भी देखे जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vishvanath Dard
our suggestion based on Vishvanath Dard
As you were reading I Miss you Shayari Shayari