bahut ukta gaya hoon apne jee se
mera dil bhar gaya hai har kisi se
b-zo'm-e-khud ajal se main lada hoon
b-zo'm-e-khud main haara zindagi se
na jaane kis gali mein kho gaya hoon
main kat kar aap apni zindagi se
mera maazi meri yaadein kahaan hain
ye poochoon ab to kya poochoon kisi se
na jaane kitne unwaan rashk karte
jo apni dastaan kahte kisi se
jo aaye jis ke jee mein dard kah le
sunoonga har kisi ki main khushi se
बहुत उकता गया हूँ अपने जी से
मिरा दिल भर गया है हर किसी से
ब-ज़ो'म-ए-ख़ुद अजल से मैं लड़ा हूँ
ब-ज़ो'म-ए-ख़ुद मैं हारा ज़िंदगी से
न जाने किस गली में खो गया हूँ
मैं कट कर आप अपनी ज़िंदगी से
मिरा माज़ी मिरी यादें कहाँ हैं
ये पूछूँ अब तो क्या पूछूँ किसी से
न जाने कितने उनवाँ रश्क करते
जो अपनी दास्ताँ कहते किसी से
जो आए जिस के जी में 'दर्द' कह ले
सुनूँगा हर किसी की मैं ख़ुशी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vishvanath Dard
our suggestion based on Vishvanath Dard
As you were reading Gham Shayari Shayari