hain kis liye udaas koi poochta nahin
rasta khud apne ghar ka hamein soojhtaa nahin
naqsh-e-wafa kisi ka koi dhoondhta nahin
ahl-e-wafa ka phir bhi bharam tootaa nahin
ahl-e-hunr ki baat thi ahl-e-nazar ke saath
ab to koi bhi un ki taraf dekhta nahin
ham se hui khata to bura maante ho kyun
ham bhi to aadmi hain koi devta nahin
daaman tumhaara haath se jaata raha magar
ik rishta-e-khayaal hai ki tootaa nahin
suraj ke noor par bhi andheron ka raaj hai
ai dard door tak mujhe kuchh soojhtaa nahin
हैं किस लिए उदास कोई पूछता नहीं
रस्ता ख़ुद अपने घर का हमें सूझता नहीं
नक़्श-ए-वफ़ा किसी का कोई ढूँढता नहीं
अहल-ए-वफ़ा का फिर भी भरम टूटता नहीं
अहल-ए-हुनर की बात थी अहल-ए-नज़र के साथ
अब तो कोई भी उन की तरफ़ देखता नहीं
हम से हुई ख़ता तो बुरा मानते हो क्यूँ
हम भी तो आदमी हैं कोई देवता नहीं
दामन तुम्हारा हाथ से जाता रहा मगर
इक रिश्ता-ए-ख़याल है कि टूटता नहीं
सूरज के नूर पर भी अंधेरों का राज है
ऐ 'दर्द' दूर तक मुझे कुछ सूझता नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vishvanath Dard
our suggestion based on Vishvanath Dard
As you were reading Baaten Shayari Shayari