jaane kitna jeevan peeche chhoot gaya anjaane mein | जाने कितना जीवन पीछे छूट गया अनजाने में

  - Vishvanath Dard

jaane kitna jeevan peeche chhoot gaya anjaane mein
ab to kuchh qatre hain baaki saanson ke paimaane mein

apni pyaas liye honton par laut aaye maykhaane mein
kitne tishna-lab baithe the pehle hi maykhaane mein

kya kya roop liye rishton ne kaise kaise rang bhare
ab to farq nahin kuchh lagta apne aur begaane mein

jazbon ki mismar imarat yaadon ke be-jaan khandar
jaane kyun baithe hain tanhaa ham aise veeraane mein

is basti mein aa kar ham ne kuchh aisa dastoor suna
aql ki baatein karne waale honge paagal-khaane mein

itna jaan liya to yaaro kaisi bandish unwaan ki
apna apna rang bharega har koi afsaane mein

takmeel-o-takhleeq ka lamha bhari hai in sadiyon par
jo aabaad nagar ki qismat likh daaliin veeraane mein

जाने कितना जीवन पीछे छूट गया अनजाने में
अब तो कुछ क़तरे हैं बाक़ी साँसों के पैमाने में

अपनी प्यास लिए होंटों पर लौट आए मयख़ाने में
कितने तिश्ना-लब बैठे थे पहले ही मयख़ाने में

क्या क्या रूप लिए रिश्तों ने कैसे कैसे रंग भरे
अब तो फ़र्क़ नहीं कुछ लगता अपने और बेगाने में

जज़्बों की मिस्मार इमारत यादों के बे-जान खंडर
जाने क्यूँ बैठे हैं तन्हा हम ऐसे वीराने में

इस बस्ती में आ कर हम ने कुछ ऐसा दस्तूर सुना
अक़्ल की बातें करने वाले होंगे पागल-ख़ाने में

इतना जान लिया तो यारो कैसी बंदिश उनवाँ की
अपना अपना रंग भरेगा हर कोई अफ़्साने में

तकमील-ओ-तख़्लीक़ का लम्हा भारी है इन सदियों पर
जो आबाद नगर की क़िस्मत लिख डालीं वीराने में

  - Vishvanath Dard

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vishvanath Dard

As you were reading Shayari by Vishvanath Dard

Similar Writers

our suggestion based on Vishvanath Dard

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari