ab ham charaagh ban ke sar-e-raah jal uthe | अब हम चराग़ बन के सर-ए-राह जल उठे

  - Vishvanath Dard

ab ham charaagh ban ke sar-e-raah jal uthe
dekhen to kis tarah se bhatkte hain qafile

jo muntazir the baat ke munh dekhte rahe
khaamosh rah ke ham to badi baat kah gaye

kab manzilon ne choome qadam un ke hamdamo
har raah roke saath jo rah-geer chal pade

jaane zabaan ki baat thi ya rang roop ki
ham aap apne shehar mein jo ajnabi rahe

vo log khush-naseeb the apni nigaah mein
jo har kisi ke shauq ki khud dastaan bane

ma'aloom jin ka naam-o-nishaan bhi nahin hamein
ham un ka shehar shehar pata poochte phire

kehne ko ik jahaan se uljhte rahe magar
ai dard apne saaye se dar dar ke ham jiye

अब हम चराग़ बन के सर-ए-राह जल उठे
देखें तो किस तरह से भटकते हैं क़ाफ़िले

जो मुंतज़िर थे बात के मुँह देखते रहे
ख़ामोश रह के हम तो बड़ी बात कह गए

कब मंज़िलों ने चूमे क़दम उन के हमदमो
हर राह रोके साथ जो रह-गीर चल पड़े

जाने ज़बाँ की बात थी या रंग रूप की
हम आप अपने शहर में जो अजनबी रहे

वो लोग ख़ुश-नसीब थे अपनी निगाह में
जो हर किसी के शौक़ की ख़ुद दास्ताँ बने

मा'लूम जिन का नाम-ओ-निशाँ भी नहीं हमें
हम उन का शहर शहर पता पूछते फिरे

कहने को इक जहाँ से उलझते रहे मगर
ऐ दर्द अपने साए से डर डर के हम जिए

  - Vishvanath Dard

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vishvanath Dard

As you were reading Shayari by Vishvanath Dard

Similar Writers

our suggestion based on Vishvanath Dard

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari