khaak hoti hui ta'aamir se dar jaate hain
ham badalti hui tasveer se dar jaate hain
raat ko chain se sote hain magar waqt-e-sehr
khwaab ke waada-e-taabeer se dar jaate hain
vo siyaahi se likhi hoti hai khun se to nahin
phir bhi kyun aap ki tahreer se dar jaate hain
dhoondte firte hain sadkon pe ujaale lekin
ghar mein aati hui tanveer se dar jaate hain
aap to nahar kinaare pe kiye hain qabza
aap kyun pyaas ke ik teer se dar jaate hain
raqs karte hue mahlon ki faseelon pe charaagh
aap ki di hui tauqeer se dar jaate hain
ख़ाक होती हुई ता'मीर से डर जाते हैं
हम बदलती हुई तस्वीर से डर जाते हैं
रात को चैन से सोते हैं मगर वक़्त-ए-सहर
ख़्वाब के वादा-ए-ताबीर से डर जाते हैं
वो सियाही से लिखी होती है ख़ूँ से तो नहीं
फिर भी क्यूँ आप की तहरीर से डर जाते हैं
ढूँडते फिरते हैं सड़कों पे उजाले लेकिन
घर में आती हुई तनवीर से डर जाते हैं
आप तो नहर किनारे पे किए हैं क़ब्ज़ा
आप क्यूँ प्यास के इक तीर से डर जाते हैं
रक़्स करते हुए महलों की फ़सीलों पे चराग़
आप की दी हुई तौक़ीर से डर जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Naqvi
our suggestion based on Wafa Naqvi
As you were reading Good night Shayari Shayari