vo dariya hai koi sehra nahin hai
magar pur-josh bhi lagta nahin hai
tujhe tera samundar ho mubarak
hamaari pyaas se achha nahin hai
wahi baarish ka charcha kar rahe hain
badan jin ka kabhi bheega nahin hai
kabhi dekha nahin hai ham ne warna
zameen ki vusa'ton mein kya nahin hai
abhi se aa gai hai raat milne
abhi to chaand bhi nikla nahin hai
nigaahen tak rahi hain ghonsle ki
parinda laut kar aaya nahin hai
main rukne ke liye aaya tha ghar mein
kisi ne kyun mujhe roka nahin hai
kahaan asraar apne pa sakega
abhi khud mein koi bhatka nahin hai
sabhi kirdaar achhe lag rahein hain
kahaani mein koi saccha nahin hai
mah-e-kanaa'n hai ahad-e-naa-rasaai
abhi bazaar tak pahuncha nahin hai
zameen par zor hai jaadugaron ka
asa-e-hazrat-e-moosa nahin hai
samundar to mathe jaati hai duniya
koi bhi vish magar peeta nahin hai
वो दरिया है कोई सहरा नहीं है
मगर पुर-जोश भी लगता नहीं है
तुझे तेरा समुंदर हो मुबारक
हमारी प्यास से अच्छा नहीं है
वही बारिश का चर्चा कर रहे हैं
बदन जिन का कभी भीगा नहीं है
कभी देखा नहीं है हम ने वर्ना
ज़मीं की वुसअ'तों में क्या नहीं है
अभी से आ गई है रात मिलने
अभी तो चाँद भी निकला नहीं है
निगाहें तक रही हैं घोंसले की
परिंदा लौट कर आया नहीं है
मैं रुकने के लिए आया था घर में
किसी ने क्यूँ मुझे रोका नहीं है
कहाँ असरार अपने पा सकेगा
अभी ख़ुद में कोई भटका नहीं है
सभी किरदार अच्छे लग रहें हैं
कहानी में कोई सच्चा नहीं है
मह-ए-कनआँ' है अहद-ए-ना-रसाई
अभी बाज़ार तक पहुँचा नहीं है
ज़मीं पर ज़ोर है जादूगरों का
असा-ए-हज़रत-ए-मूसा नहीं है
समुंदर तो मथे जाती है दुनिया
कोई भी विश मगर पीता नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Naqvi
our suggestion based on Wafa Naqvi
As you were reading Nadii Shayari Shayari